Arunachal Pradesh, jo ki prarambh me Poorvottar Seemant Agency ke naam se jaana jaataa tha, ko "Ugate Sooraj ki Dharti" kaha jaata hai. Yah Kshetra apoorva jaivik aur saanskratik vibhinnatao se paripoorn hai. Yah parvatiya rajya pavitra Himalayi shreniyo par stith hai, jaha 26 mukhya jan-jaatiya aur 110 up-janjaatiya, apani vyapak evam bhinn-bhinn sanskratiyo, reeti-rivaajo aur dharmo ke sath nivaas karti hai. Yah raajya "Bharat-Myanmar Jaiv-Vividh Kshetra" ke antargat aata hai tatha anek fasalo ka mool Kendra hai. Isi karan ise "Vanaspati-shastriyo ka Swarg" bhi kaha jaata hai. Yah pustak...
Arunachal Pradesh, jo ki prarambh me Poorvottar Seemant Agency ke naam se jaana jaataa tha, ko "Ugate Sooraj ki Dharti" kaha jaata hai. Yah Kshetra ap...