ISBN-13: 9781535554190 / Hindi / Miękka / 2016 / 110 str.
Arunachal Pradesh, jo ki prarambh me Poorvottar Seemant Agency ke naam se jaana jaataa tha, ko "Ugate Sooraj ki Dharti" kaha jaata hai. Yah Kshetra apoorva jaivik aur saanskratik vibhinnatao se paripoorn hai. Yah parvatiya rajya pavitra Himalayi shreniyo par stith hai, jaha 26 mukhya jan-jaatiya aur 110 up-janjaatiya, apani vyapak evam bhinn-bhinn sanskratiyo, reeti-rivaajo aur dharmo ke sath nivaas karti hai. Yah raajya "Bharat-Myanmar Jaiv-Vividh Kshetra" ke antargat aata hai tatha anek fasalo ka mool Kendra hai. Isi karan ise "Vanaspati-shastriyo ka Swarg" bhi kaha jaata hai. Yah pustak angreji ki pustak "A Brief Introduction to Arunachal Pradesh" ka hindi roopantaran hai, jisme jhoom tantra tatha paryatan naamak adhyaya joda gaya hai. Yah pustak un logo ke liye atyant upyogi hai, jo is sundar Himalyi rajya ke sandarbh me aadharbhoot jankari chahate hai. Yah Arunachal Pradesh ke rajnaitik ya sam-saamayik gyan ke bare me na hokar Pradesh ke prakratik aur saanskratik swaroop ka sankalan hai.